Tags

, , , ,

Udaasi meri rooh me sama gayi hai..
par kisi ko dikhti hi nahi..
sabne bas un lams ke lafz padh liye hain
jo muskurahton me tabdeel hain
kya dil ki koi bhasha nahi hoti?
ya fir chak jigar kisi ko dikhte nahi?
Kya koi chhod ke chala jaye tanha
tabhi dil toota karte hain?
ya manhoosiyaton ki khamoshiyon ki zubaan hoti nahi?
Kash.. kaaash.. ki koi padh pata kuchh siskiyon ko
jo dheeme se dafan ho gayeen waqt ke sandook me
upar se to bas, teekhi dhoop chhayi hai.
Na un thikaano ki basti hai
jahaan kabhi dere the humraaz logon ke
na takht hai, na chhaon bargad ki
chilchilaati dhoop me bas aasmaan apna hai
chaho to nigal lo aag ko
chaao to ugal lo
bahot door ik kuaan hai
pata karo to wo bhi pyasa hai
jab tufaan aya to khamoshi mayasaar thi
aaj bhi wahi sannata taari hai.